duur  tak  phailā  huā  paanī  hī  paanī  har  taraf
ab  ke  bādal  ne  bahut  kī  mehrbānī  har  taraf
hādse  har  moḌ  par  haiñ  ghaat  meñ  kyā  kījiye
kis  qadar  arzāñ  hai  marg-e-nā-gahānī  har  taraf
jā  chhupe  andhī  guphā  meñ  jo  qad-āvar  log  the
aur  baunoñ  kī  huī  hai  hukmarānī  har  taraf
aag  ke  chappū  havā  ke  bādbāñ  miTTī  kī  naav
aur  tā-hadd-e-nazar  paanī  hī  paanī  har  taraf
bebasī  par  apnī  ḳhud  alfāz  hairāñ  haiñ  'shabāb'
isti.āroñ  ne  badal  Daale  ma.ānī  har  taraf