shab-e-visāl  thī  raushan  fazā  meñ  baiThā  thā
maiñ  tere  sāya-e-lutf-o-atā  meñ  baiThā  thā
tamām  umr  use  DhūñDne  meñ  sarf  huī
jo  chhup  ke  mere  badan  kī  guphā  meñ  baiThā  thā
na.ī  rutoñ  kī  havā  le  uḌī  libās  us  kā
vo  kal  talak  to  harīm-e-hayā  meñ  baiThā  thā
darūn-e-qāfila  āsār  the  baġhāvat  ke
ajab  sā  ḳhauf  dil-e-rahnumā  meñ  baiThā  thā
zarā  sī  baat  ne  auqāt  khol  dī  us  kī
vo  kab  se  band  hisār-e-anā  meñ  baiThā  thā
nazar  uThā  ke  tum  ai  kaash  dekh  hī  lete
maiñ  nazr-e-jāñ  liye  rāh-e-vafā  meñ  baiThā  thā
lahū  se  us  ke  milī  diin  ko  baqā-e-davām
vo  qāfila  jo  kabhī  karbalā  meñ  baiThā  thā
usī  ne  luuTī  thī  ablā  kī  aabrū  kal  raat
savere  ban  ke  jo  mukhiyā  sabhā  meñ  baiThā  thā
bas  ik  shikast  ne  saare  nashe  utaar  diye
vo  tājdār  alag  sī  havā  meñ  baiThā  thā
chalā.īñ  goliyāñ  jis  par  munāfiqoñ  ne  'shabāb'
saf-e-namāz  meñ  yād-e-ḳhudā  meñ  baiThā  thā