māñgā  thā  ham  ne  din  vo  siyah  raat  de  gayā
sūraj  hameñ  añdhere  kī  sauġhāt  de  gayā
sikke  mire  ḳhulūs  ke  lauTā  diye  mujhe
apnī  samajh  meñ  vo  mujhe  ḳhairāt  de  gayā
us  ko  ye  zo.am  thā  ki  hai  vo  shaukat-e-chaman
jañgal  kā  ek  phuul  use  maat  de  gayā
us  kī  hañsī  meñ  lai  thī  kis  jal-tarañg  kī
mere  laboñ  ko  pyaar  ke  naġhmāt  de  gayā
mazmūn-e-ishq  par  use  kāmil  giraft  thī
nazroñ  se  kaise  kaise  havālāt  de  gayā
chehre  se  le  gayā  mirī  pahchān  chhīn  kar
nā-sāzgār  vaqt  vo  sadmāt  de  gayā
sab  par  mirī  nigāh-e-karam  ek  sī  rahī
maiñ  bāñjh  dhartiyoñ  ko  bhī  barsāt  de  gayā
insāf  mujh  ko  de  ki  na  de  vo  magar  'shabāb'
thoḌā  sā  vaqt  bahr-e-mulāqāt  de  gayā