aisā  ek  maqām  ho  jis  meñ  dil  jaisī  vīrānī  ho
yādoñ  jaisī  tez  havā  ho  dard  se  gahrā  paanī  ho
ek  sitāra  raushan  ho  jo  kabhī  na  bujhne  vaalā  ho
rasta  jānā-pahchānā  ho  raat  bahut  an-jānī  ho
vo  ik  pal  jo  biit  gayā  us  meñ  hī  raheñ  to  achchhā  hai
kyā  ma.alūm  jo  pal  aa.e  vo  faanī  ho  lāfānī  ho
manzar  dekhne  vaalā  ho  par  koī  na  dekhne  vaalā  ho
koī  na  dekhne  vaalā  ho  aur  duur  talak  hairānī  ho
ek  ajiib  samāñ  ho  jaise  sher  'munīr'-niyāzī  kā
ek  taraf  ābādī  ho  aur  ek  taraf  vīrānī  ho