hai  tahayyur-zada  is  shahr  meñ  ḳhāmoshī  bhī
ki  sunā.ī  nahīñ  detī  koī  sargoshī  bhī
dil  giraftār-e-tazabzub  hai  kidhar  ko  jaa.e
ghar  bhī  yaad  aatā  hai  aur  dasht-e-farāmoshī  bhī
ye  haqīqat  hai  ki  be-misl  hai  ḳhud  us  kī  tarah
us  ḳhush-andām  kī  ḳhush-bāshī-o-ḳhush-poshī  bhī
ek  dīvār  se  mil  jaatā  hai  saaya  bhī  hameñ
aur  chāheñ  to  kuchh  ehsās-e-ham-āġhoshī  bhī
maslahat  hogī  koī  pesh-e-nazar  dhyān  rahe
itnī  saada  to  nahīñ  shaiḳh  kī  mad-hoshī  bhī