Moin Nizaamii

maine kaha tha aaj na jaen ghoDe behad thake hue hain

Moin Nizaamii

maiñ ne kahā thā aaj na jaa.eñ ghoḌe behad thake hue haiñ

us ne kahā thā jaanā tai hai dushman pīchhe lage hue haiñ

maiñ ne kahā thā daa.eñ taraf ghāTī meñ ham chhup jaate haiñ

us ne kahā thā nā-mumkin hai tīroñ meñ ham ghire hue haiñ

maiñ ne kahā thā ġhaar meñ kāTeñ hijrat-rut pahlī rāteñ

us ne kahā thā us ke biloñ meñ saañp aur bichchhū chhupe hue haiñ

maiñ ne kahā thā pyaas ke maare kaalī ret pe mar jā.eñge

us ne kahā thā Thiik hai lekin do mashkīze bhare hue haiñ

maiñ ne kahā thā us se aage chhupne kyā sūrat hogī

us ne kahā thā Darte kyuuñ ho aage qil.e bane hue haiñ

maiñ ne kahā thā do haiñ ham shahr-e-sitam se jaane vaale

us ne kahā thā bastī meñ kuchh aur bhī sāthī ruke hue haiñ

maiñ ne kahā thā sunte ho tum pīchhe pīchhe aatī Tāpeñ

us ne kahā thā ham bhī ajab haiñ do raahe par ruke hue haiñ

maiñ ne kahā thā ab kyā hogā dushman sar par aa pahuñchā hai

us ne kahā thā ġhaar ke muñh par lākhoñ jaale tane hue haiñ

maiñ ne kahā thā ye to batāo kis taraf mehmānī hogī

us ne kahā thā yasrib vaale ik duuje se baḌhe hue haiñ

Top Urdushayar.com