savāl  us  se  hamārā  kahāñ  nibāh  kā  hai
mutāliba  hai  magar  sirf  ik  nigāh  kā  hai
hameshgī  ke  marāsim  to  dil  ko  raas  nahīñ
ilaaj  is  kā  vahī  rabt  gaah  gaah  kā  hai
maiñ  dīn-e-ishq  meñ  tauhīd  kā  jo  qaa.il  huuñ
to  mo.ajaza  ye  tire  husn-e-be-panāh  kā  hai
visāl-o-hijr  se  maiñ  kis  kā  intiḳhāb  karūñ
yahāñ  pe  ḳhud  se  mujhe  ḳhauf  ishtibāh  kā  hai
ḳhabar  nahīñ  hai  abhī  us  kī  kam-nigāhī  ko
ki  ek  marhala  ḳhud  ye  bhī  rasm-o-rāh  kā  hai
mo.arriḳhoñ  ko  kisī  aur  par  na  shak  guzre
ki  mujh  ko  mārne  vaalā  mirī  sipāh  kā  hai