ye  saarī  dhuul  mirī  hai  ye  sab  ġhubār  mirā
guzar  hai  tere  ḳharābe  se  baar  baar  mirā
ḳhizāñ  to  kyā  nahīñ  jis  kī  bahār  ko  bhī  ḳhabar
ik  aise  baaġh  ke  andar  hai  barg-o-bār  mirā
hai  dil  ke  naġhma  o  naala  se  ab  gurez  mujhe
milā  huā  hai  kisī  aur  lai  se  taar  mirā
maiñ  ḳhush  huuñ  nān-o-namak  par  to  is  kī  daad  na  de
ki  bhiik  māñgtā  phirtā  hai  shahryār  mirā
tire  ġhurūr  kī  ismat-darī  pe  nādim  huuñ
tire  lahū  se  bhī  dāman  hai  dāġhdār  mirā