koh-e-ġham  se  kyā  ġharaz  fikr-e-butāñ  se  kyā  ġharaz
ai  subuk-rūī  tujhe  bār-e-garāñ  se  kyā  ġharaz
be-nishānī-e-mohabbat  ko  nishāñ  se  kyā  ġharaz
ai  yaqīn-e-dil  tujhe  vahm-o-gumāñ  se  kyā  ġharaz
nāla-e-be-saut  ḳhud  banñe  lagā  mohr-e-sukūt
be-zabānī  ko  hamārī  ab  zabāñ  se  kyā  ġharaz
jauhar-e-zātī  haiñ  us  kī  teziyāñ  ai  sañg-dil
teġh-e-abrū  ko  tirī  sañg-e-fasāñ  se  kyā  ġharz
jab  mohabbat  meñ  huī  rusvā.ī  apnī  parda-dār
raaz  se  phir  kyā  ta.alluq  rāz-dāñ  se  kyā  ġharaz
jaan  de  kar  zinda-e-jāved  ho  jaatā  hai  vo
maut  ke  ḳhvāhāñ  ko  umr-e-jāvedāñ  se  kyā  ġharaz
maiñ  ye  kahtā  huuñ  ki  donoñ  meñ  zarūrī  laag  hai
vo  ye  kahte  haiñ  zamīñ  ko  āsmāñ  se  kyā  ġharaz
dahr  meñ  jo  kuchh  bhī  honā  thā  vo  ho  kar  hī  rahā
ab  guzishta  vārdātoñ  ke  bayāñ  se  kyā  ġharaz
jis  meñ  qudrat  ḳhud  nishāne  par  pahuñch  jaane  kī  ho
'qadr'  phir  us  tiir  ko  sa.ī-e-kamāñ  se  kyā  ġharaz