zabt  kar  aah  baar  baar  na  kar
ġham-e-ulfat  ko  sharmsār  na  kar
jis  ko  ḳhud  apnā  e.atibār  na  ho
aise  insāñ  kā  e.atibār  na  kar
us  ke  fazl-o-karam  pe  rakh  nazreñ
apne  sajdoñ  kā  e.atibār  na  kar
baaġh  ujaḌne  kā  ġham  hī  kyā  kam  hai
jaane  bhī  de  ġham-e-bahār  na  kar
log  tujh  ko  haqīr  samjheñge
had  se  zaa.id  bhī  inkisār  na  kar
vaqt  se  fā.eda  uThā  lekin
vaqt  kā  koī  e.atibār  na  kar
lutf  uThā  bas  nigāh-e-avval  se
har  nazar  ko  gunāhgār  na  kar
jis  se  fitne  bapā  hoñ  duniyā  meñ
aise  ġhāfil  ko  hoshiyār  na  kar
'qadr'  ko  tū  ne  dī  hai  jab  izzat
ai  ḳhudā  us  ko  be-vaqār  na  kar