hai  aam  azal  hī  se  faizān  mohabbat  kā
imkān  musallam  hai  imkān  mohabbat  kā
toḌā  nahīñ  jā  saktā  paimān  mohabbat  kā
nuqsān  ḳhud  apnā  hai  nuqsān  mohabbat  kā
phir  un  kī  nigāhoñ  se  Takrā.ī  mirī  nazreñ
phir  baḌhne  lagā  dil  meñ  tūfān  mohabbat  kā
ek  ek  tamannā  meñ  lākhoñ  haiñ  tamannā.eñ
armānoñ  kī  duniyā  hai  armān  mohabbat  kā
is  vāste  muslim  kī  fitrat  meñ  mohabbat  hai
detā  hai  sabaq  us  ko  qur.ān  mohabbat  kā
barbād-e-mohabbat  kī  hālat  hai  ajab  hālat
hai  be-sar-o-sāmānī  sāmān  mohabbat  kā
jazbāt  mohabbat  ke  maiñ  laakh  chhupātā  huuñ
kartī  haiñ  mirī  nazreñ  elaan  mohabbat  kā
goyā  mire  siine  meñ  mīzān-e-mohabbat  hai
yuuñ  dil  meñ  jigar  meñ  hai  paikān  mohabbat  kā
vo  nuur  kā  partav  hai  yā  husn  kā  partav  hai
hai  diin  mohabbat  kā  īmān  mohabbat  kā
jo  dard  kā  hāmil  hai  vo  zauq  meñ  kāmil  hai
behis  ko  nahīñ  hotā  īqān  mohabbat  kā
ijmāl  ye  be-shak  hai  tafsīl  kā  ā.īna
mazmūn  pe  haavī  hai  unvān  mohabbat  kā
haiñ  us  ke  tasavvur  ko  ghere  hue  armāñ  sab
rahtā  hai  faqīroñ  meñ  sultān  mohabbat  kā
aatī  hai  nazar  us  meñ  iḳhlās  kī  har  sūrat
ā.īna  hai  ā.īna  insān  mohabbat  kā
nairañg  mohabbat  kā  har  sher  se  zāhir  hai
hai  'qadr'  kā  dīvāñ  bhī  dīvān  mohabbat  kā