jañg jitnī ho sake dushvār honī chāhiye
jiit hāsil ho to lazzat-dār honī chāhiye
ek āshiq kal salāmat shahr meñ dekhā gayā
ye ḳhabar to surḳhi-e-aḳhbār honī chāhiye
kah rahī hai āj-kal ġhazleñ kisī ke ishq meñ
vo ki jo ḳhud zīnat-e-ash.ār honī chāhiye
ishq donoñ ne kiyā thā ḳhud-kushī bas maiñ karūñ
vo bhī marne ke liye tayyār honī chāhiye
dil kī nādānī hī bas kaafī nahīñ hai ishq meñ
aql bhī thoḌī bahut bīmār honī chāhiye
pyaar hai to haath us kā thaam apne haath meñ
jañg hai to haath meñ talvār honī chāhiye