Aftab Arif

kahun jo karb faqat karb-e-zat samjhoge

Aftab Arif

kahūñ jo karb faqat karb-e-zāt samjhoge
magar kabhī to mirī nafsiyāt samjhoge
ye umr jaao bhī do chaar din kī kyā hai bisāt
abhī kahāñ se ġham-e-kā.enāt samjhoge
mirā vajūd sila hai mirī shikastoñ kā
bigaḌ bigaḌ ke banoge to baat samjhoge
abhī to jumbish-e-lab par hazār pahre haiñ
jo lab khule bhī to kyā dil kī baat samjhoge
idhar na aao ab is shahar meñ ujāloñ ke
vo tīrgī hai ki din ko bhī raat samjhoge
Top Urdushayar.com