Muniruddin Sahar Saeedi

apne iqrar pe qaem na wo inkar pe hai

Muniruddin Sahar Saeedi

1940

apne iqrār pe qaa.em na vo inkār pe hai

kis parī-zād saaya mire dildār pe hai

fikr-e-tahzīb na asnāf-e-adab se raġhbat

āj-kal sab nazar dirham-o-dīnār pe hai

aisā lagtā hai chalī aa.egī pahlū meñ abhī

qadd-e-ādam tirī tasvīr jo dīvār pe hai

mujh ko is zulmat-e-shab-zār se nisbat kyā

merī bedār nazar sub.h ke āsār pe hai

maiñ to bikne pe huuñ raazī ba-sar-o-chashm 'sahar'

faisla aa ke Tikā mere ḳharīdār pe hai

Top Urdushayar.com