agarche  maiñ  ne  likhīñ  us  ko  arziyāñ  bhī  bahut
uḌā.īñ  us  ne  magar  un  kī  dhajjiyāñ  bhī  bahut
milegā  fā.eda  kuchh  ziist  ke  safar  meñ  mujhe
agarche  is  meñ  hai  adnesha-e-ziyāñ  bhī  bahut
mire  qarīb  jab  aaoge  jaan  jāoge
burā.iyāñ  haiñ  agar  mujh  meñ  ḳhūbiyāñ  bhī  bahut
baḌe  dukhoñ  meñ  guzārī  hai  zindagī  phir  bhī
jahāñ  maiñ  chhoḌī  haiñ  ham  ne  kahāniyāñ  bhī  bahut
dikhā.ī  dete  haiñ  kuchh  phuul  ab  bhī  shāḳhoñ  par
bikher  dī  haiñ  havāoñ  ne  pattiyāñ  bhī  bahut
ye  aur  baat  hai  mahfūz  bijliyoñ  se  na  the
mirī  nigāh  meñ  the  yuuñ  to  āshiyāñ  bhī  bahut
hamārī  dostī  ai  dost  shak  kī  zad  meñ  hai
haiñ  qurbateñ  bhī  bahut  ham  meñ  dūriyāñ  bhī  bahut
masarratoñ  kī  talab  meñ  jo  ghar  se  niklā  thā
usī  ke  hisse  meñ  aa.eñ  udāsiyāñ  bhī  bahut
abhī  to  habs  hai  mushkil  hai  saañs  lenā  bhī
havā  chalī  to  phir  ā.eñgī  āñdhiyāñ  bhī  bahut
ġhazab  kā  husn  sahī  terī  sādgī  meñ  magar
pasand  haiñ  mujhe  ai  dost  shoḳhiyāñ  bhī  bahut
mirā  ḳhayāl  hai  pā  lūñgā  maiñ  'rashīd'  use
mire  ḳhayāl  meñ  lekin  haiñ  ḳhāmiyāñ  bhī  bahut