ye  bandagī  kā  sadā  ab  samāñ  rahe  na  rahe
sar-e-niyāz  jhuke  āstāñ  rahe  na  rahe
tire  ḳhayāl  meñ  maiñ  huuñ  mire  ḳhayāl  meñ  tū
mire  baġhair  tirī  dāstāñ  rahe  na  rahe
kise  ḳhabar  hai  ki  har  ġham  meñ  hai  ḳhushī  pinhāñ
ġham-e-habīb  salāmat  ye  jaañ  rahe  na  rahe
nigah  ḳhamosh  takallum  kī  rāzdāñ  hogī
huzūr-e-dost  ye  goyā  zabāñ  rahe  na  rahe
hamārī  laash  gulistāñ  meñ  dafn  kar  sayyād
chaman  se  duur  koī  nauha-ḳhvāñ  rahe  na  rahe
vo  mujh  se  is  liye  kahte  haiñ  apne  raaz  kī  baat
ki  mere  ba.ad  koī  rāzdāñ  rahe  na  rahe
sadā  unhoñ  ne  anal-haq  kī  is  liye  dī  thī
sadā  dahan  meñ  tumhārī  zabāñ  rahe  na  rahe
maiñ  aaj  is  liye  kartā  huuñ  ehtirām  apnā
hamesha  ḳhud  pe  tumhārā  gumāñ  rahe  na  rahe
usī  ke  ishq  meñ  miT  kar  ke  ho  ga.e  'vāsil'
sabāt  usī  ko  hai  apnā  nishāñ  rahe  na  rahe