ġhamoñ  kī  oḌhnī  oḌhe  khaḌe  haiñ  zindagānī  meñ
nikāle  piiḌā  kā  ghūñghaT  sadā  apnī  kahānī  meñ
sukūñ  katrā  nahīñ  barsā  sadā  taḌpe  sadā  tarse
usī  bad-hāl  manzar  ne  lagā  dī  aag  paanī  meñ
mire  kañdhe  mire  yāroñ  mire  sadmoñ  ne  toḌe  haiñ
uThā.e  phir  rahe  the  bojh  ġham  kā  shādmānī  meñ
musāfir  har  koī  hotā  hai  is  rāh-e-mohabbat  kā
kabhī  ham  bhī  the  dīvāne  isī  dilkash  ravānī  meñ
nahīñ  shikva  añdheroñ  se  shikāyat  hai  ujāloñ  se
sadā  zaḳhmoñ  pe  chamke  haiñ  bahut  hī  bad-gumānī  meñ
sunā.e  'sārthī'  kyā  dāstāñ  apnī  udāsī  kī
kahīñ  chhalke  na  āñkhoñ  se  lahū  qissa-bayānī  meñ