pyaar  ke  āġhosh  meñ  ham  ko  Thaharnā  hī  nahīñ
aarzū  kī  us  galī  se  ab  guzarnā  hī  nahīñ
chīḳheñ  merī  sun  ke  bhī  jab  shab  ne  nazreñ  pher  liiñ
ḳhauf  kam  us  tīrgī  kā  ab  to  karnā  hī  nahīñ
ye  safar  mushkil  sahī  par  ham  to  chalte  jā.eñge
de  koī  āvāz  lekin  ab  Thaharnā  hī  nahīñ
ye  ġhazab  kī  raunaqeñ  kis  kaam  kī  apne  liye
sulh  ab  ḳhushiyoñ  se  hargiz  ham  ko  karnā  hī  nahīñ
aab  jab  is  zindagī  kā  ho  gayā  be-kār  to
Duub  kar  dobāra  is  meñ  ab  nikharnā  hī  nahīñ
tum  the  shāmil  thī  udāsī  bhī  janāze  par  mire
ho  chuke  ruḳhsat  hameñ  ab  tum  pe  marnā  hī  nahīñ