vaqt  majbūr  apnī  aadat  se
badle  lamhoñ  ko  apnī  chāhat  se
kab  rahā  shauq  jītne  kā  hameñ
hārte  hī  rahe  haiñ  qismat  se
us  kī  hī  be-ruḳhī  kā  hai  anjām
ham  hue  duur  us  kī  ulfat  se
dard  ġham  rañj  aaheñ  ḳhāmoshī
aur  paayā  hai  kyā  mohabbat  se
us  ne  kar  lī  hī  ḳhud-kushī  āḳhir
thā  pareshāñ  vo  apnī  ġhurbat  se
do  nigāhoñ  se  daañv  khelā  phir
le  ga.e  dil  ko  vo  sharārat  se
ham  ko  banñā  zamāne  ke  jaisā
aa  ga.e  tañg  ham  sharāfat  se
'sārthī'  tū  bhī  ab  badal  ḳhud  ko
siikh  kuchh  to  badaltī  qudrat  se