ye  armān  jab  tak  machalte  raheñge
hazāroñ  hī  ġham  dil  meñ  palte  raheñge
sadā  haath  sachchā.ī  kā  ham  ne  thāmā
ḳhabar  kyā  thī  baazū  hī  galte  raheñge
salāmat  raheñgī  ye  sāñseñ  jahāñ  tak
nigāhoñ  meñ  ham  sab  kī  khalte  raheñge
siyāsat  kī  baazī  vatan  noch  legī
kafan  uf  shahīdoñ  ke  Dhalte  raheñge
bahut  talḳh  lahja  hai  duniyā  kā  yaaro
kahāñ  tak  bhalā  yuuñ  hī  jalte  raheñge
nasīboñ  se  milte  haiñ  ġham  ye  samajh  kar
faqat  ḳhud  ko  ḳhud  se  hī  chhalte  raheñge
kabhī  'sārthī'  tū  qadam  roknā  mat
ye  chhāle  to  yuuñ  hī  ubalte  raheñge