Maikash Nag Puri

zamin ke chand-sitaron ko nind aati hai

Maikash Nag Puri

zamīñ ke chāñd-sitāroñ ko niiñd aatī hai

hayāt-baḳhsh bahāroñ ko niiñd aatī hai

abhī chaman muqaddar chamak nahīñ saktā

abhī chaman bahāroñ ko niiñd aatī hai

janāza ashkoñ palkoñ ke dosh par hai abhī

isī liye to nazāroñ ko niiñd aatī hai

nizām-e-bazm-e-gulistāñ badal gayā shāyad

chaman god meñ ḳhāroñ ko niiñd aatī hai

ab inqilāb-e-zamāna fikr kaun kare

tirī nigāh ke māroñ ko niiñd aatī hai

na Duub jaa.e kahīñ nabz-e-zindagī 'maikash'

sahar vaqt hai tāroñ ko niiñd aatī hai

Top Urdushayar.com