Dattatriya Kaifi

sare ushshaq se hum achchhe hain

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955

saare ushshāq se ham achchhe haiñ

haañ tire sar qasam achchhe haiñ

uljhā rahne do zulfoñ ko sanam

jo na khul jaa.eñ bharam achchhe haiñ

koī jañchtā nahīñ us but ke sivā

aur bhī yuuñ to sanam achchhe haiñ

hashr tak mujh ko jalā.e rakkhā

ye hasīnoñ ke bhī dam achchhe haiñ

bahs ho jaa.e to sab par khul jaa.e

haiñ bhale aap ki ham achchhe haiñ

ġhair kuchh nahīñ shirkat is meñ

ham ko ye tere sitam achchhe haiñ

jiite haiñ ārzū-e-qatl meñ ham

dam tire teġh-e-do-dam achchhe haiñ

na huā ka.abe dīdār nasīb

ham se āhū-e-haram achchhe haiñ

ḳhuub hai vaqt jo kaT jaatā hai

jo guzar jaate haiñ dam achchhe haiñ

pūchhte kyā haiñ mizāj-e-'kaifī'

aap lutf-o-karam achchhe haiñ

Top Urdushayar.com