Dattatriya Kaifi

aah wo shoala hai jo ji ko bujha ke uTThe

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955

aah vo sho.ala hai jo ko bujhā ke uTThe

dard vo fitna hai jo dil ko biThā ke uTThe

aap yaad meñ ham ai sanam-e-ġhaflat-kesh

aise baiThe ki qayāmat uThā ke uTThe

ek duzdīda-nazar se mirā dil chhīn ke vaah

tum kidhar ko mirī jaañ aañkh bachā ke uTThe

arsa-e-hashr tak ik lag gayā tāñtā un

murde qabroñ se jo tere shohdā ke uTThe

ramazāñ kyūñki baras-bhar ko samajh baiTheñ ham

aa.e din ke bhī kisī se ye kaḌāke uTThe

dil-nashīñ rahmat-e-haq jab se huī hai 'kaifī'

daġhdaġhe dil se mire roz-e-jazā ke uTThe

Top Urdushayar.com