Dattatriya Kaifi

husn-e-azal ka jalwa hamari nazar mein hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955

husn-e-azal jalva hamārī nazar meñ hai

jo tuur par huā thā dil-e-dīda-var meñ hai

dair o haram meñ kis liye āvāra-gardiyāñ

jis tujhe talāsh hai vo dil ke ghar meñ hai

jo dekhne aañkh hai tujh ko nahīñ milī

vo nuur qad meñ varna shajar meñ hajar meñ hai

ḳhāmoshiyoñ meñ mahfil-e-anjum us ko dekh

hañgāma-mast kyuuñ numūd-e-sahar meñ hai

dekhā hai aur phir nahīñ aayā nazar tujhe

vo husn vo jalāl jo shams o qamar meñ hai

us ko natīje illat-e-ġhā.ī is ko dhun

farq is qadar be-ḳhabar o bā-ḳhabar meñ hai

DhūñDā hai jis ne us ne paayā sunā nahīñ

likkhā huā ye hukm qazā-o-qadar meñ hai

haañ haañ ḳhudā ḳhudā hai aur hai bashar bashar

is uqde jo hal hai vo qalb-e-bashar meñ hai

vo bhī to haiñ nazāra-e-kul juz meñ hai jinheñ

poshīda rāz-e-dīd to husn-e-nazar meñ hai

hai ishq juzv-e-lā-yatajazzā yaqīn jaan

ye qīmat-e-majāz-o-haqīqat ḳhatar meñ hai

kyā shauq-e-dīd tujh pe to ġhālib hai lutf-e-dīd

jo baat tere dil meñ hai apnī nazar meñ hai

nikle na phañs ke gesu-e-pur-pech-o-ḳham se dil

sāhil pe ḳhaak pahuñche jo kashtī bhañvar meñ hai

ulfat hai kis kaisī mohabbat kahāñ ishq

ma.adūm to fikr-e-dahān-o-kamar meñ hai

nāqis thī ibtidā to hai anjām-e-ishq bhī

be-rabtī mubtadā meñ jo thī vo ḳhabar meñ hai

'kaifī' masīh-e-sher haiñ ahbāb aur bhī

ik tujh se jān-e-tāza nahīñ is Dhachar meñ hai

Top Urdushayar.com