zindagī  kā  kis  liye  mātam  rahe
mulk  bastā  hai  miTe  yā  ham  rahe
dil  rahe  piirī  meñ  bhī  terā  javāñ
āḳhirī  dam  tak  yahī  dam-ḳham  rahe
chāhiye  insān  kā  dil  ho  ġhanī
paas  maal  o  zar  bahut  yā  kam  rahe
kyā  isī  jannat  kī  ye  tahrīs  hai
jis  meñ  kuchh  din  hazrat-e-ādam  rahe
vasl  se  matlab  na  rakh  tū  ishq  kā
dam  bhare  jā  dam  meñ  jab  tak  dam  rahe
laag  ik  din  ban  ke  rahtī  hai  lagāv
haañ  lagāvaT  kuchh  na  kuchh  bāham  rahe
ishq  ne  jis  dil  pe  qabza  kar  liyā
phir  kahāñ  us  meñ  nashāt  o  ġham  rahe
sharq  se  jab  nuur  chamkā  to  kahāñ
barg-e-gul  par  qatra-e-shabnam  rahe
husn  kī  duniyā  kā  hai  daa.em  shabāb
hashr  tak  us  kā  yahī  aalam  rahe
hai  surūr-e-husn  'kaifī'  lā-yazāl
dar-ḳhur-e-zarf  us  meñ  besh  o  kam  rahe