Dattatriya Kaifi

kabhi hai aaj aur kal kabhi hai bhala ye ahd-e-visal kya hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
kabhī hai aaj aur kal kabhī hai bhalā ye ahd-e-visāl kyā hai
ho va.ada iifā ki tark-e-ulfat ye roz-marra kī Taal kyā hai
zabān bigḌī hai aap hī kī hamārā nuqsān kyā hai is meñ
zarā tumhīñ pūchhūñ dil se apne bhalā ye tarz-e-maqāl kyā hai
jo māñgā ik bosa maiñ ne un se to bole kyā tū saḌī huā hai
zarā ye bāteñ suno to logo javāb kyā hai savāl kyā hai
unheñ sar-e-rah akelā pā kar ye bolā chhātī se maiñ lagā kar
ki ab to farmā deñ banda-parvar visāl meñ qīl-o-qāl kyā hai
haiñ tark-e-ulfat meñ ham bhī raazī ye kah do be-khaTke us sanam se
butoñ kā is hind kī zamīñ par ḳhudā kī rahmat se kaal kyā hai
kaḌā rakhe aadmī jo dil ko to jhel le har kaḌī ko āsāñ
bañdhī huī ho jo apnī himmat to kaam koī muhāl kyā hai
ye kaisī haiñ ThanDī sāñseñ 'kaifī' kahīñ to aayā hai aap kā dil
ye muñh nikal aayā kyuuñ zarā sā batā.iye to ki haal kyā hai
Top Urdushayar.com