kabhī  hai  aaj  aur  kal  kabhī  hai  bhalā  ye  ahd-e-visāl  kyā  hai
ho  va.ada  iifā  ki  tark-e-ulfat  ye  roz-marra  kī  Taal  kyā  hai
zabān  bigḌī  hai  aap  hī  kī  hamārā  nuqsān  kyā  hai  is  meñ
zarā  tumhīñ  pūchhūñ  dil  se  apne  bhalā  ye  tarz-e-maqāl  kyā  hai
jo  māñgā  ik  bosa  maiñ  ne  un  se  to  bole  kyā  tū  saḌī  huā  hai
zarā  ye  bāteñ  suno  to  logo  javāb  kyā  hai  savāl  kyā  hai
unheñ  sar-e-rah  akelā  pā  kar  ye  bolā  chhātī  se  maiñ  lagā  kar
ki  ab  to  farmā  deñ  banda-parvar  visāl  meñ  qīl-o-qāl  kyā  hai
haiñ  tark-e-ulfat  meñ  ham  bhī  raazī  ye  kah  do  be-khaTke  us  sanam  se
butoñ  kā  is  hind  kī  zamīñ  par  ḳhudā  kī  rahmat  se  kaal  kyā  hai
kaḌā  rakhe  aadmī  jo  dil  ko  to  jhel  le  har  kaḌī  ko  āsāñ
bañdhī  huī  ho  jo  apnī  himmat  to  kaam  koī  muhāl  kyā  hai
ye  kaisī  haiñ  ThanDī  sāñseñ  'kaifī'  kahīñ  to  aayā  hai  aap  kā  dil
ye  muñh  nikal  aayā  kyuuñ  zarā  sā  batā.iye  to  ki  haal  kyā  hai