rāhat  kahāñ  nasīb  thī  jo  ab  kahīñ  nahīñ
vo  āsmāñ  nahīñ  hai  ki  ab  vo  zamīñ  nahīñ
ho  josh  sidq-e-dil  meñ  to  rāhat  baġhal  meñ  ho
qaa.em  ye  āsmān  rahe  yā  zamīñ  nahīñ
hubb-e-vatan  ko  himmat-e-mardāna  chāhiye
darkār  aah  sīna-e-andoh-gīñ  nahīñ
ḳhūn-e-dil-o-jigar  se  ise  sīñch  ai  aziiz
kisht-e-vatan  hai  ye  koī  kisht-e-javīñ  nahīñ
haq-goī  kī  sadā  thī  na  ruknī  na  ruk  sakī
kab  vaar  kī  sināneñ  galoñ  meñ  chubhīñ  nahīñ
dāġh-e-ġham-e-vatan  hai  nishān-e-azīz-e-ḳhalq
dil  par  na  jis  kā  naqsh  ho  ye  vo  nagīñ  nahīñ
jañg-e-vatan  meñ  sidq  ke  hathiyār  kā  hai  kaam
darkār  is  meñ  aslaha-e-āhīñ  nahīñ
ghar-bār  terā  par  tū  kisī  chiiz  ko  na  chheḌ
ye  baat  to  harīfoñ  kī  kuchh  dil-nashīñ  nahīñ
jis  baat  par  aziiz  aḌe  haiñ  aḌe  raheñ
kahne  deñ  un  ko  ūñche  gale  se  nahīñ  nahīñ
kyā  jaane  dil  jigar  ko  mire  jo  ye  kah  gayā
dāman  bhī  taar  taar  nahīñ  āstīñ  nahīñ
mābūd  hai  vatan  huuñ  parastār  usī  kā  maiñ
dair  o  haram  meñ  jo  jhuke  ye  vo  jabīñ  nahīñ
'kaifī'  isī  se  ḳhairiyat-e-hind  meñ  hai  der
hubb-e-vatan  kā  josh  kahīñ  hai  kahīñ  nahīñ