Dattatriya Kaifi

wasl ki un buton se aas nahin

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
vasl kī un butoñ se aas nahīñ
ki Tike dakshinā ko paas nahīñ
imtihān-e-vafā pe karb-e-firāq
paas haiñ haa.e aur paas nahīñ
nafs ko maar kar mile jannat
ye sazā qābil-e-qayās nahīñ
dam meñ ye aanā aur jaanā kyā
aap insāñ haiñ kuchh havās nahīñ
ḳhauf-e-vīrāñ huā hai ḳhāna-e-dil
aas kaisī ki yaañ to yaas nahīñ
ka.abe meñ jā ke kyā kareñ zāhid
vaañ kī āb-o-havā hī raas nahīñ
shā.irī hai mirī ki sehr-e-halāl
bhalā kah deñ to haq-shanās nahīñ
pā.ūñ kis se mazāq-e-sher kī daad
aaj 'faizī'-o-'kālīdās- nahīñ
jām-e-ḳhurshīd meñ hai āb-e-hayāt
rām-rañgī kā ye gilās nahīñ
'kaifī' aur jām-e-bāda se inkār
tum ko kuchh naam kā bhī paas nahīñ
Top Urdushayar.com