Dattatriya Kaifi

qismat bure kisi ke na is tarah lae din

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
qismat bure kisī ke na is tarah laa.e din
aafat na.ī hai roz musībat hai aa.e din
din san ye aur din diye allāh kī panāh
us maah ne to ḳhuub hī ham se ginā.e din
hai dam-shumārī din ko to aḳhtar-shumārī shab
is tarah to ḳhudā na kisī ke kaTā.e din
un kī nazar phirī ho to kyā apne din phireñ
abr-e-siyah ghirā ho to kyā muñh dikhā.e din
jī jāntā hai kyūñki ye kaTte haiñ roz o shab
dushman ko bhī ḳhudā na kabhī ye dikhā.e din
kyā lutf-e-zīst bharte haiñ din zindagī ke ham
'kaifī' bure kisī ke na taqdīr laa.e din
Top Urdushayar.com