qismat  bure  kisī  ke  na  is  tarah  laa.e  din
aafat  na.ī  hai  roz  musībat  hai  aa.e  din
din  san  ye  aur  din  diye  allāh  kī  panāh
us  maah  ne  to  ḳhuub  hī  ham  se  ginā.e  din
hai  dam-shumārī  din  ko  to  aḳhtar-shumārī  shab
is  tarah  to  ḳhudā  na  kisī  ke  kaTā.e  din
un  kī  nazar  phirī  ho  to  kyā  apne  din  phireñ
abr-e-siyah  ghirā  ho  to  kyā  muñh  dikhā.e  din
jī  jāntā  hai  kyūñki  ye  kaTte  haiñ  roz  o  shab
dushman  ko  bhī  ḳhudā  na  kabhī  ye  dikhā.e  din
kyā  lutf-e-zīst  bharte  haiñ  din  zindagī  ke  ham
'kaifī'  bure  kisī  ke  na  taqdīr  laa.e  din