Dattatriya Kaifi

bataen kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955
batā.eñ kyā amal ishq-e-haqīqī kā kahāñ tak hai
zamīñ kyā āsmāñ tak hai makāñ kyā lā-makāñ tak hai
ta.ayyun se barī ho gar hai lā-mahdūd kā tālib
ki hadd-e-mulk-o-duniyā to vahīñ tak hai jahāñ tak hai
na ho āzād daur-e-charḳh kī halqa-ba-goshī se
tirā markūz dil-e-māo-shumā aur īn-o-āñ tak hai
to bismillāh ke gumbad meñ kyā hai mo.atakif zāhid
sukūn-e-ḳhātir-e-muztar havāsoñ se amaañ tak hai
pahuñch saktā hai kab sachchī ḳhushī ko aish-e-nafsānī
ki vo to āb-e-ruknābād va jū-e-mūliyāñ tak hai
hai shaiḳh-o-barahman ke diin kī had dair-o-ka.aba tak
savād-e-dīn-e-ishq-e-be-ġharaz kaun-o-makāñ tak hai
yaqīñ se aur amal se puḳhtagī paa.ī aqīdat ne
pahuñch terī to ai nādān bas vahm-o-gumāñ tak hai
haqīqat husn kī ā.īna tujh par kyūñki ho jaatī
nazar terī to zulf-o-ḳhāl-o-abrū-e-butāñ tak hai
jo haiñ mast-e-alast un ko ḳhumār-o-sukr kā Dar kyā
nigāh-e-tishna-kām-e-ishq hī dast-e-muġhāñ tak hai
hasīr-e-ishq ko kab daḳhl is mahfil meñ hai 'kaifī'
bisāt us kī faqat bain-o-bukā āh-o-fuġhāñ tak hai
Top Urdushayar.com