Dattatriya Kaifi

baadal umDe hain dhuan-dhaar ghaTa chhai hai

Dattatriya Kaifi

Delhi, India

1866-1955

bādal umDe haiñ dhuāñ-dhār ghaTā chhā.ī hai

dhueñ tauba ke uḌāne ko bahār aa.ī hai

ki añgūr hare hoñ mire zaḳhm-e-dil ke

dhānī añgiyā mire dildār ne rañgvā.ī hai

tīra-baḳhtī se huī mujh ko ye ḳhiffat hāsil

dil-e-vahshat meñ suvaidā jagah paa.ī hai

ye chalan haiñ to tumheñ hashr se deñge tashbīh

log saffāk kaheñge baḌī rusvā.ī hai

maut ko ziist samajhtā huuñ maiñ betābī se

tirī furqat ne ye hālat mirī pahuñchā.ī hai

sabr hijrāñ meñ kare 'kaifī'-e-mahzūñ kab tak

āḳhir ai dost koī hadd-e-shakebā.ī hai

Top Urdushayar.com