Nabeel Ahmad Nabeel

aankhon ke iztirab se aise jhaDe hain KHwab

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982

āñkhoñ ke iztirāb se aise jhaḌe haiñ ḳhvāb

shab ke shajar pe niiñd sūrat paḌe haiñ ḳhvāb

aatī nahīñ hai niiñd mujhe is liye bhī dost

āñkhoñ putliyoñ meñ hazāroñ jhaḌe haiñ ḳhvāb

niklā na phir bhī koī natīja bahār

ta.abīr se agarche bahut laḌe haiñ ḳhvāb

jab bhī chalā huuñ niiñd ke raste pe yuuñ lagā

hāthoñ ko joḌ kar mire aage khaḌe haiñ ḳhvāb

dil se ġhamoñ is liye chhālā na sakā

kāñToñ misl chashm-e-talab meñ aḌe haiñ ḳhvāb

tujh ko kahāñ ḳhabar hai ki kaise haiñ ratjage

tujh ko kahāñ ḳhabar hai ki kitne kaḌe haiñ ḳhvāb

is baar bhī yahāñ ḳhas-o-ḳhāshāk tarah

āñkhoñ meñ jis qadar the vo saare saḌe haiñ ḳhvāb

aayā nahīñ 'nabīl' palaT ke vo ek shaḳhs

ranjīda is liye bhī hamāre baḌe haiñ ḳhvāb

Top Urdushayar.com