tū  jā  rahī  hai  chhoḌ  ke  jā  phir  kabhī  sahī
ai  bastiyoñ  kī  tez  havā  phir  kabhī  sahī
ab  aadmī  kī  jis  pe  musallat  machine  hai
ab  zar  kī  justujū  hai  ḳhudā  phir  kabhī  sahī
tujh  ko  Dubo  gayā  tujhe  barbād  kar  gayā
ye  takiya-e-kalām  tirā  phir  kabhī  sahī
is  vaqt  ek  rabt-e-musalsal  hai  nā-guzīr
pābandī-e-quyūd-e-anā  phir  kabhī  sahī
maiñ  apne  iztirār  se  majbūr  ho  gayā
us  ne  bigaḌ  ke  mujh  se  kahā  phir  kabhī  sahī