Maratib Akhtar

ye ghar ke bhed hain kahun kaise zaban se

Maratib Akhtar

ye ghar ke bhed haiñ kahūñ kaise zabān se

kyā dukh mile haiñ mujh ko mere bhā.ī-jān se

cafe ke ek kone meñ masrūf guftugū

maġhmūm be-hayāt badan be-zabān se

ye din jo aaj biit gayā phir na aa.egā

ye tiir bhī nikal gayā qaus-e-kamān se

achchhe bashar haiñ jin ko nahīñ DhūñDne dhun

achchhā ḳhudā hai duur hai vābastgān se

ulTe kuñ.eñ ke qutr meñ laTkā diye ga.e

utre the do farishte kabhī āsmān se

Top Urdushayar.com