ye  naqsh  aisā  nahīñ  hai  jise  miTā.ūñ  maiñ
mujhe  batā  ki  tujhe  kaise  bhuul  jā.ūñ  maiñ
koī  lakīr  hī  raushan  nahīñ  hathelī  par
najūmiyoñ  ko  bhalā  haath  kyā  dikhā.ūñ  maiñ
bujhā  bujhā  sā  nazar  aa  rahā  hai  har  koī
fasāna-e-ġham-e-hastī  kise  sunā.ūñ  maiñ
yaqīñ  karo  ki  mirī  jiit  phir  yaqīnī  hai
magar  kaho  to  ye  baazī  bhī  haar  jā.ūñ  maiñ
nazar  ke  sāmne  manzil  ke  rāste  haiñ  bahut
ye  sochtā  huuñ  qadam  kis  taraf  baḌhā.ūñ  maiñ
ye  baat  sach  hai  ki  buniyād  huuñ  imārat  kī
ye  aur  baat  kisī  ko  nazar  na  aa.uuñ  maiñ
ġham-e-zamāna  se  fursat  kahāñ  'asar-sāhab'
duā  ko  haath  jo  apne  liye  uThā.ūñ  maiñ