talāsh-e-yār  meñ  guzrī  hai  zindagī  tanhā
bhaTak  rahā  huuñ  añdheroñ  meñ  aaj  bhī  tanhā
vahāñ  to  saañs  bhī  lenā  azaab  lagtā  hai
sisak  rahī  ho  jahāñ  koī  zindagī  tanhā
akelā  maiñ  hī  nahīñ  huuñ  asīr-e-zulmat-e-ġham
bujhā  bujhā  hai  añdheroñ  meñ  chāñd  bhī  tanhā
tamām  chāñd  sitāroñ  kā  nuur  ek  taraf
aur  ek  samt  hai  sūraj  kī  raushnī  tanhā
mire  ḳhulūs  meñ  shāyad  kamī  hai  kuchh  varna
mujhī  se  karte  haiñ  kyuuñ  log  dushmanī  tanhā
kisī  kī  zulf  kā  saaya  talāsh  kar  varna
'asar'  guzar  na  sakegī  ye  zindagī  tanhā