sabz  shāḳhoñ  pe  zamāne  kī  nazar  hotī  hai
kis  ko  sūkhe  hue  pattoñ  kī  ḳhabar  hotī  hai
sadaf-e-chashm  se  bāhar  jo  na  aane  paa.e
buuñd  ashkoñ  kī  vahī  misl-e-guhar  hotī  hai
yaad  ġhurbat  meñ  jab  aatī  hai  vatan  kī  mujh  ko
nā-gahāñ  aañkh  mirī  ashkoñ  se  tar  hotī  hai
daf.atan  dil  kā  har  ik  zaḳhm  ubhar  jaatā  hai
jab  bhī  tasvīr  tirī  pesh-e-nazar  hotī  hai
shaam  hote  hī  sulag  jaate  haiñ  har  ghar  meñ  charāġh
Duub  jaate  haiñ  sitāre  to  sahar  hotī  hai
phuul  to  phuul  haiñ  patte  nahīñ  ugte  jin  meñ
aise  peḌoñ  se  bhī  umīd-e-samar  hotī  hai
aib-jūī  meñ  shab-o-roz  guzāreñ  jo  'asar'
apne  kirdār  pe  kab  un  kī  nazar  hotī  hai