sham-e-ummīd  gar  nahīñ  hotī
shām-e-ġham  kī  sahar  nahīñ  hotī
haa.e  nā-qadrī-e-jahāñ  afsos
qadr-e-ahl-e-hunar  nahīñ  hotī
baat  karte  haiñ  log  barsoñ  kī
aur  pal  kī  ḳhabar  nahīñ  hotī
ek  aisā  bhī  hai  safar  ki  jahāñ
zindagī  ham-safar  nahīñ  hotī
haq-pasandī  mizāj  ho  jis  kā
muflisī  us  ke  ghar  nahīñ  hotī
zindagī  kā  na  e.atibār  karo
zindagī  mo'atabar  nahīñ  hotī