lailā  sar-ba-garebāñ  hai  majnūñ  sā  āshiq-e-zār  kahāñ
hiir  duhā.ī  detī  hai  rāñjhe  sā  yār-e-ġhār  kahāñ
apnā  ḳhūn-e-jigar  piite  haiñ  tujh  ko  duā.eñ  dete  haiñ
tere  maiḳhāne  meñ  saaqī  ham  sā  bāda-ḳhvār  kahāñ
hijr  kā  zulm  hamārī  qismat  vasl  kī  daulat  ġhair  kā  maal
zaḳhm  kise  aur  marham  kis  ko  dard  kahāñ  hai  qarār  kahāñ
hijr  kā  zulm  hamārī  qismat  vasl  kī  daulat  ġhair  kā  maal
zaḳhm  kise  aur  marham  kis  ko  dard  kahāñ  hai  qarār  kahāñ
pīr-e-muġhāñ  kyā  kam  thā  mohtasiboñ  kā  bhī  ab  daḳhl  huā
miinā  par  kyā  guzregī  sar  phoḌeñge  mai-ḳhvār  kahāñ
sunte  haiñ  ki  chaman  mahke  bulbul  chahke  ban  lahke  haiñ
apne  nasheman  tak  jo  na  pahuñchī  aisī  bahār  bahār  kahāñ
kunj-e-mehan  hai  dār-o-rasan  hai  zulmat  hai  tanhā.ī  hai
kaun  sī  jā  hai  ham-safaro  le  aa.ī  talāsh-e-yār  kahāñ
gul-chīnoñ  ko  aaj  chaman-bandī  kā  da.avā  hai  'parvez'
ab  dekheñ  luT  kar  biktā  hai  kalī  kalī  kā  siñghār  kahāñ