maiñ  ne  dil-e-be-tāb  pe  jo  jabr  kiyā  hai
ḳhuuñ  ho  ke  merī  āñkhoñ  se  ab  chhūT  bahā  hai
jis  ko  kisī  aazar  ne  hai  patthar  se  tarāshā
ab  shūmī-e-taqdīr  se  vo  merā  ḳhudā  hai
us  ke  sitam-o-jaur  kā  ehsās  kise  ho
us  shoḳh  kī  sūrat  hī  baḌī  hosh-rubā  hai
mujh  bekas-o-āvāra  kī  phir  aa  ga.ī  shāmat
suntā  huuñ  ki  bastī  meñ  kahīñ  qatl  huā  hai
tum  un  ko  sazā  kyuuñ  nahīñ  dete  ki  jinhoñ  ne
mujrim  kā  zamīr  aur  sukūñ  luuT  liyā  hai
ab  da.avā-e-insāf  kī  auqāt  khulegī
ḳhud  shaiḳh  mire  shahr  kā  muḳhtār  banā  hai