gard  uḌe  yā  koī  āñdhī  hī  chale
ye  umas  to  kisī  unvān  Tale
añg  par  zaḳhm  liye  ḳhaak  male
aan  baiThe  haiñ  tire  mahal  tale
apnā  ghar  shahr-e-ḳhamoshāñ  sā  hai
kaun  aa.egā  yahāñ  shaam  Dhale
dil-e-parvāna  pe  kyā  guzregī
jab  talak  dhuup  bujhe  sham.a  jale
ruup  kī  jot  hai  kaalā  jaadū
ik  chhalāvā  ki  farishtoñ  ko  chhale
daldaloñ  meñ  bhī  kañval  khilte  haiñ
naḳhl-e-ummīd  bahar-taur  bhale
apne  hī  rain-baseroñ  kī  taraf
lauT  aa.e  haiñ  sabhī  shaam  Dhale
mai-kade  meñ  to  nasha  baTtā  hai
kaun  yaañ  jāñche  bure  aur  bhale
raushnī  dekh  ke  chuñdhiyā  jaa.eñ
jo  añdheroñ  meñ  baḌhe  aur  pale
ḳhaar  to  saif  banegā  gul  kī
ye  bhale  hī  kisī  gulchīñ  ko  khale
raat  baaqī  hai  abhī  to  'parvez'
baada  sar-josh  rahe  daur  chale