ḳhush-qismat  haiñ  vo  jo  gaañv  meñ  lambī  taan  ke  sote  haiñ
ham  to  shahr  ke  shor  meñ  shab-bhar  apnī  jaan  ko  rote  haiñ
kis  kis  dard  ko  apnā.eñ  aur  kis  kis  zaḳhm  ko  sahlā.eñ
dekhtī  āñkhoñ  qadam  qadam  par  ka.ī  havādis  hote  haiñ
dil  kī  dillī  luT  ga.ī  is  ke  aivānoñ  meñ  ġhadar  machī
ḳhuddārī  ke  muġhal  shahzāde  shahr  meñ  Thaliyā  Dhote  haiñ
ḳhush-lahnoñ  ke  liye  gulshan  bhī  kunj-e-qafas  ban  jaa.e  to
jabr  ke  gun  gaate  haiñ  yā  naġhmoñ  meñ  dard  samote  haiñ
shaam  ne  din  kā  saath  chhuḌāyā  raat  ne  dasht  meñ  aan  liyā
aise  safar  meñ  rahgīroñ  par  saañs  bhī  dūbhar  hote  haiñ
maiñ  to  apnī  jaan  pe  khel  ke  pyaar  kī  baazī  jiit  gayā
qātil  haar  ga.e  jo  ab  tak  ḳhuun  ke  chhīñTe  dhote  haiñ
dil  ke  ziyāñ  kā  sabab  kyā  pūchho  un  tūfānoñ  ko  dekho
jin  ke  bhañvar  sāhil  ke  safīnoñ  ko  bhī  aan  Dubote  haiñ
'parvez'  aaj  nahīñ  miltī  hai  ḳhum  ke  bhaav  talchhaT  bhī
is  par  turra  ye  hai  ki  saaqī  nashtar-e-ta.an  chubhote  haiñ