agar  allāh  kī  vahdāniyat  taslīm  karte  ho
to  phir  insān  ko  ḳhānoñ  meñ  kyuuñ  taqsīm  karte  ho
mohabbat  dastaras  se  lafz-o-ma.anī  kī  hai  bālā-tar
miyāñ  tum  us  kī  bhī  tashrīh  aur  tafhīm  karte  ho
tumhārā  qaul  kyūñkar  mo'atabar  Thahre  ki  tum  us  meñ
kabhī  tansīḳh  karte  ho  kabhī  tarmīm  karte  ho
haqīr  un  ko  samajhte  ho  jo  haiñ  tauqīr  ke  qābil
razīloñ  kī  magar  tāzīm  aur  takrīm  karte  ho
baġhāvat  kyuuñ  nahīñ  karte  ḳhudā-vandān-e-bātil  se
ḳhudā  bar-haq  hai  is  haq  ko  agar  taslīm  karte  ho
agar  qaabū  nahīñ  ḳhud  par  to  sab  be-sūd-o-lā-hāsil
bahādur  laakh  ho  tasḳhīr  haf-iqlīm  karte  ho
in  āvāra  parindoñ  ko  pakaḌ  paate  ho  tum  kyūñkar
ḳhayāloñ  kī  ai  'rāhī'  kis  tarah  tanzīm  karte  ho