Hastimal Hasti

charagh dil ka muqabil hawa ke rakhte hain

Hastimal Hasti

Amer, Rajasthan, India

1946

charāġh dil muqābil havā ke rakhte haiñ

har ek haal meñ tevar balā ke rakhte haiñ

milā diyā hai pasīna bhale miTTī meñ

ham apnī aañkh paanī bachā ke rakhte haiñ

hameñ pasand nahīñ jañg meñ bhī makkārī

jise nishāne pe rakkheñ batā ke rakhte haiñ

kahīñ ḳhulūs kahīñ dostī kahīñ pe vafā

baḌe qarīne se ghar ko sajā ke rakhte haiñ

anā-pasand haiñ 'hastī'-jī sach sahī lekin

nazar ko apnī hamesha jhukā ke rakhte haiñ

Top Urdushayar.com