Hastimal Hasti

shishe ke muqaddar mein badal kyun nahin hota

Hastimal Hasti

Amer, Rajasthan, India

1946
shīshe ke muqaddar meñ badal kyuuñ nahīñ hotā
in pattharoñ kī aañkh meñ jal kyuuñ nahīñ hotā
qudrat ke usūloñ meñ badal kyuuñ nahīñ hotā
jo aaj huā hai vahī kal kyuuñ nahīñ hotā
har jhiil meñ paanī hai har ik jhiil meñ lahreñ
phir sab ke muqaddar meñ kañval kyuuñ nahīñ hotā
jab us ne hī duniyā kā ye dīvān rachā hai
har aadmī pyārī sī ġhazal kyuuñ nahīñ hotā
har baar na milne kī qasam khā ke mile ham
apne hī irādoñ pe amal kyuuñ nahīñ hotā
har gaañv meñ mumtāz janam kyuuñ nahīñ letī
har moḌ pe ik tāj-mahal kyuuñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com