dosh  pe  apne  baar  uThā.e  phirte  haiñ
ham  kitne  āzār  uThā.e  phirte  haiñ
prem  nagar  ke  baasī  kāñToñ  ke  ban  meñ
phūloñ  kā  ambār  uThā.e  phirte  haiñ
tan  ke  ujle  man  ke  kaale  haiñ  jo  log
nafrat  kī  dīvār  uThā.e  phirte  haiñ
dīn-dharam  ke  naam  pe  qaumoñ  ke  dushman
do-dhārī  talvār  uThā.e  phirte  haiñ
'nūr'  mire  āñgan  meñ  phir  vo  raat  ga.e
paa.el  kī  jhankār  uThā.e  phirte  haiñ