chāñdnī-rāt  hai  tāroñ  kā  samāñ  baaqī  hai
tujh  se  mil  mil  ke  bichhaḌne  kā  gumāñ  baaqī  hai
ab  to  bas  naam  hai  yā  sañg-e-nishāñ  baaqī  hai
kaisī  bastī  hai  makīñ  haiñ  na  makāñ  baaqī  hai
ātish-e-ishq  bujhe  ek  zamāna  guzrā
raakh  ke  Dher  tale  ab  bhī  dhuāñ  baaqī  hai
kitnī  sadiyoñ  se  to  sargarm-e-amal  hai  duniyā
us  ke  bā-vasf  magar  kār-e-jahāñ  baaqī  hai
har  taraf  aam  hai  insāñ  kī  tabāhī  kā  chalan
kyā  kahīñ  dahr  meñ  ab  jā-e-amāñ  baaqī  hai