Noor muneeri

the sab ke hath mein KHanjar sawal kya karta

Noor muneeri

Maharashtra, India

1934
the sab ke haath meñ ḳhanjar savāl kyā kartā
maiñ be-gunāhī kā apnī malāl kyā kartā
usī ke ek ishāre pe qatl-e-ām huā
amīr-e-shahr se maiñ arz-e-hāl kiyā kartā
maiñ qātiloñ kī nigāhoñ se bach ke bhaag aayā
ki mere saath the mere ayaal kyā kartā
dharam ke naam par insāniyat kī nasl-kushī
zamāna aisī bhī qaa.em misāl kyā kartā
jale makān jale jism jal-bujhā sab kuchh
vo is se baḌh ke hameñ pā.emāl kyā kartā
baTe hue haiñ hamī apne apne ḳhānoñ meñ
hamārā varna koī aisā haal kyā kartā
Top Urdushayar.com